Sardiyoon ki thandi sham, asman neela aur halke halke badal, zameen ne safaid chadar ori hoi, youn mano jaise zameen aur asmaan aik dosre se kuch keh rahe hoon. Baraf ka yeh haseen manzar neele asmaan k sath iss se pehle kabhi na dekha tha, Qudrat ka haseen jalwa jamal ki  ankhoon k samne tha jis se woh mehzooz ho raha tha aur ander hi ander SubhanAllah  aur Ma'sha'ALLAH kahe ja raha tha. Dour samne paharh safaid chadar ore  apni hi masti mein magan apni Khubsurti pe mano rashk kerte nazar aa rahe thay. Woh qudrat k iss haseen jalway se mahzooz ho raha tha k achanak aik thartarati aur buji si  awaz ai "doud le aye" g le aya........ Yeh uski ami ki awaz thi, jo abi namaz se farigh ho k uss se mukhatib ho thi. Doud le aye ho to namaz perh lo ta k raat k khane ka kuch intazam kiya jae.
"G ami". Jamal yeh keh k wuzu k liye chala gaya, aur jamal ki ami bawarchikhane ki taraf.
Yahan pe yeh batata chaloon k jamal aur uss ki maa hi aik dousre ka sahara hain, Jamal namaz se farigh ho k ami k sath bawarchikhane mein aa gaya aur raat ka khana banne laga, roz ka yehi mamool tha jab tak jamal ghar mein tha . Jamal aik company mein mulazmat kerta hai chutiyan thi iss liye gaon gaya hai... Iss k baad jamal ki apni zubani....................


Mein apne ami ka akaila sahara hoon iss duniyan mein.. Baba mere bachpan mein hi chal basse aur baki khandan mein sab k apne bachiyan bache hain  iss liye sab apni faimlies k sath hi busy hain.
Aaj meri chutti ka akhri din hai mein ne subah wapas shehr rawana hona hai mere shehr jane k baad mere tayya abu apni choti beti ko meri ami k pass baij daite hain ta k woh khud ko akaila mehsoos na karain, mere tayya ki 2 betiyan hain. Bari beti ne abhi kuch din pehle mphil mukamal kiya, hum gaon mein intermediate tak akatte hi parhe hain, Ghar k halat kuch thk nai thay iss liye ami ne kaha k ab mein shehr jaon wahan reh k parhoon b aur nokri b karoon iss liye mein shehr mein aa gaya, ab mein shehr mein aik achi company mien job kerta hoon. 5 month pehle mien ne apna M.S complete kiya,,,
Mein apne tayya ki beti ko pasasnd kerta hoon aur woh b mujhe kerti hai laiken mashraqi lerki hone ki waja uss mein sharam aur lihaz bht zayada hai jis waja se uss ne kabhi iss cheez ka izhaar nai kiya na mein ne kabhi kaha. Haan aik baar ami ne baat zrur ki thi tayya se laiken unoon ne saaf inkar ker diya waja 'muflisi,ghareebi' go k unoon ne iss cheez ka izhaar nai kiya laiken haqeeqt yehi thi. laiken ab hamare halat qadre behtar ho chuke hain. Albata tayya abu financially thk hain. Issi liye shaid woh apni betiyoon ka rishta b apni hasiyat wale k sath kerna chahte hain.

Mein ne Subah wapas jana tha iss liye ami ne aj jaldi khana lga diya ta k khana aur namaz se farigh ho k batain ker sakain. ami ne khana laga k mujhe awaz di k aa k khana kha lo, mein dastarkhawan per phunch gaya,
Beta aj teri pasand ka khana banaya hai kal mera shahzada chala jae ga iss liye socha aj teri pasand ka kuch ho,,, Khane k doran mein ne mahsoos kiya k ami ro rahi hain, mein der gaya aur phuch behtha k kiya hoa,
Kehne lagi kuch nai beta... bss tu kal ja raha hai ab pata nai kab aye ga. mein ne kaha ami iss mein kiya hai mein aik maah baad to aa jata hoon aur parosiyoon k phone per ap ki khabar b le laita hoon ap se baat b ho jati hai...agli baar ap k liye paise bacha k aik choota sa mobile laita aoonga ta k ap ko baar baar parosiyoon k haan na jana pare..  Nai beta!!! bss mein chahti hoon ab teri kahin shadi ker doon, meri zindagi ka b kuch pata nai hai kab tak sansoon ne wafa kerni hai mein chahti hoon teri khushi apni ankhoon se dekh k duniyan chorron.
Ami ap aisi baatain na kiya karain aisa kuch nai hona abi ap ne bht jeena hai. mein aik dafa sai kamane lag jaon to apko apne sath le jaonga. wahin rahain gay.... Beta!!! mein soch rahi thi aik dafa tere tayya se phir baat ker k dekhoon kiya pata ab mann jae q k ab to tu kamane b lag gaya hai ab usay to nai fikar honi chaye, ami ko iss baat ka ilm nai hai k mein aur tayya ki beti aik dosre ko pasand kerte hain, Mein ne kaha nai ami mein apko baar baar un k samne beizat hote hoay nai dekh sakta.... Lo bhai!!! iss mein beizat hone wali kon si baat hai woh bare bhai jaisa hai mujhe iss mein izat kahan se aa gai. mein ne kaha bss nai ab nai jana ap ne....!!! Tu chupker kuch b bolta rehta hai mein kisi din jaongi aur dekhti hoon jo b jawab hoa tujhe bata doongi mein chup sade behtha raha na haan na naaa,,, kuch b nai kaha mein ne.. Khane se farigh ho k namaz perh k mein so gaya.... Subah jaldi utha... Namaz perhi aur ami ki duaoon k sath shehr k liya rawana ho gaya. Road ghar k pass thi laiken baraf zayada hone ki waja se bandh thi iss liye 6km ka safar paidal teh kerna tha iss liye jaldi nikal para,, Khuda Khuda ker k adde(stop) pe phuncha, Gari nikalne wali thi iss liye ussi mein beth gaya aur gari chal pari. seat sheeshe wali side ki mil gai iss liye seeshe k sath sir laga k beth gaya....

aur mujhe ami yaad ane lagi k akaili maa ko akhir kab tak yahan choroonga. bss halat thore aur behtar ho jaen to ami ko apne sath wahin le jaonga... inni sochoon mein gumm tha k  mujhe aisa feel hoa k koi mere  kanday ko halka sa daba raha peeche se, mein gabra gaya k yeh kon ho sakta hai peehce murne ki himmat b nai ho rahi thi. Khair himmat ker k mein ne gardan gumma di, Meri ankhain khuli ki khuli reh gai jinain mein dil hi dil mein pasand kerta tha woh mere peeche birajmann thi aur tayya sahab uni k baghal mein neend se lutfandoz ho rahe thay. Hiace thi iss waja se agli aur pichli seat qareeb qareeb hi thi, woh meri taraf dekh rahi aur mein uss ki taraf. Intermediate k foran baad mein shehr chala gaya tha aur mere jane k baad ami ne foran baat ker di thi tayya se. so uss k baad tayya abbu ne hamare ghar apni bari beti ka anna jana bandh ker dia tha. So uss hisab se aj mein usay kamopesh 5,6 saloon baad dekh raha tha. meri khushi ki intaha nai thi laiken soye hoay tayya jan se dar b lag raha tha k kahin jag gay to mujhe dekh k gari mein hi curfew nafaz na ho jae. Khair mein ne halki si awaz mein kaha!!!!Tum???

Mein yeh keh k thori dair k liye ruka raha aur phir agay murr gaya k kahin tayya abu k ankh na khul jae.. Thori dair baad tayya jan ki ankh khul gai laiken mazay ki baat yeh k unain nai pata tha k agay mein betha hoon..  Baraf ki waja se mein ne long coat aur sir pe bari cap pehni thi shaid iss waja se pechan na paye, laiken daad daini pare gi mohtarma k unooon ne mujhe pehchan liya... Khair taya jan thori dair baad dobara neend ki gehrayoon mein chale gay... Aur mohtarma  apne lab mere kanoon k pass lai aur sargoshi ki  hum b shehr ja rahe hain... Mein ne dheeme lehje mein kaha.. Acha mein samjha chand pe ja rahe ho,,,, jis pe woh muskara di... Batoon batoon mein pata chala k woh apne mphil k convocation k liye sehehr mein ja rahe thay, jahan mein job kerta tha unoon  ne uss shehr se b agay jana tha,,,, Khair kafi sargoshiyan hoi jis se mein ne yeh andaza lagaya k uss ka koi rishta b mang raha hai laiken uss ne inkar ker dia.. laiken amma abba ab b zor de rahe hain k mann lo.. Lerka bahir hota hai...well settle hai.... bala bala.....mein ne iss baat ki koi zrurat mahsoos nai ki  k mein phuchta k q mana kia..... ... جاری ہے