Laiken uss ki ankhain iss sawal ki muntazir thi k mein phuchoon k q mana kia, mein b deeth bana raha aur nai phucha, go k mera dil mere iss faisle k baraks tha, laiken damagh baar baar mana ker raha tha khair dil aur dimagh ki jung mein damagh ne dil ko maat di aur mein iss baat pe hi datta raha k nai phuchna, Safar kafi guzer chuka tha aur ab driver ne  hotel pe rukna tha, ta k jis ne kuch khana peena ho woh hotel se kha pe sake, driver k break lagate hi sari soi hi qoum jaag gai jin mein taya hazoor b shamil thay, choon-k mein agli seat pe tha iss liye mein pehle hi uter k hotel ki taraf chala gaya,  unoon ne mohterma ki waja se faimly haal ka rukh gaya jo k dosri side pe tha, mein ghar se jaldi nikla tha iss liye nashta halka phulka hi kiya tha, mein ne nashta order kiya, nashta 5 minute mein aa gaya aur mein ne nashta kerne k baad apna bill ada kerne k sath sath waiter se phucha k jo admi aur khatoon faimly hall mein hain unn ka bill b bata dain, waiter ne bill bataya to mein ne un ka bill b ada ker dia, aur bahir aa gaya, waiter ko mein ne kaha k ager woh phuchain k bill kis ne ada kia to keh daina mujhe nai pata, koi counter per ada ker k chala gaya, mein wapas gari k pass aa k khara ho gaya, chun-k gari ne 15 minute hi tehrna hota hai iss liye aday log wapas aa chuke thay, mein gari k pass hi khara rha, chun-k un ki pichli seat thi iss liye mein ne unn k baad bethna tha so mein un ka wait ker raha tha, mein  unain wapas ata dekh ker gari k peeche khara ho gaya ta k taya mujhe na dekh paen, un k behtte hi mein b apna chehra chupa k aa k beht gaya, gari k gate se cherte hoay uss ko mein ne dekha to woh sawaliya nazroon se mujhe dekh rahi thi, shaid yehi phuch rahi hogi k tum ne bill q dia, q k jaib k halaat se woh waqif thi, laiken alhamdulillah ab halaat kafi behtar thay khair mein gari mein beth gaya aur dua kerne laga k taya  g so jaen aur mein kuch batain ker sakoon. khair taya abu aday gainte mein phir neend ki aagosh mein chale gay, q k mujhe ishara mil chuka tha, kan mein unoon ne phucha bill ap ne dia?mein ne kaha nai Farishte uter aye thy. jis pe woh muskara di, sargoshioon mein pata hi nai chala k kab safar apne ikhtamam ko puhnch gaya, unoon ne agay jana tha dosri gari se aur mein ne yahin uterna tha, khair gari adde pe aa k ruki aur log uterne lagy, mein pehle hi uter chuka tha, mein thori door ja k khara ho gaya aur unn ki taraf dekhne laga, woh dosri gari ka ticket le k uss pe beth gay, gari ka time shaid nai hoa tha iss liye gari wahin khari thi, mein b wahin khara raha, jitni dair gari khari rahi hum aik dosre ko dekhte rahe, khair unki gari chal pari aur mein b apni manzil ki taraf chal para, hostel phuncha, fresh hoa, company ka kuch kaam pending tha woh kia, safar ki takhan thi so kab soya pata hi nai chala, sham k 7 baje ankh khuli, khana kha k namaz perh k thori dair kam kiya aur phir so gaya, subah jaldi utha namaz perhne k baad talawat ki, itni dair mein 6:00 baj chuke thy, hostel k mess se nashta kia aur company ki taraf chal para, mein company mein as a sales manager kaam kerta hoon yeh apko batana bhool gaya hn.